WHAT? NO.
' ' ' Birthdays were the worst days and now we sip champagne on Thursdays ' ' ' Notorious B.I.G
# SHE walks into Aparna's room
SHE: Yaar kal pot luck hai, mujhe abhi yaad aya. Kya leke jaun?
Aparna: Uhmm..
Aparna: Yaar mere office k toh just samne ek samose ki dukaan hai. mai toh har waqt wahi se leke jaati hun.
SHE: Kaisa banata hai?
Aparna: Areyy, bahut tasty banata hai yaar!
Aparna: Aadha office tujhe wahi pe milega, lunch pe.
SHE: Toh leke aa na fir! Akele akele khati hai.
Aparna: Arey, layi toh thi na mai wo din.
SHE: Kab?
Aparna: Jab Shraddha bukhaar me hone ki acting kar rahi thi!?
SHE: Haaan!
SHE: Toh logo ko toh pata chal jata hoga taste?
SHE: Haaan!
SHE: Toh logo ko toh pata chal jata hoga taste?
Aparna: Haan toh mai kahan bolti hun k maine banaya.
SHE: Yaar kuch toh bana k leke jana chaiye na lekin.
Aparna: Ab wo tere upar hai.
SHE: Boondi ka raita?
Aparna: Boondi ka raita koi leke jata hai kya!?!
SHE (defensive): Kyun nahi?! Bahuto ko pasand hai. Mujhe pasand hai.
Aparna: Nahi 😑
SHE: Uhmm.. Curd rice?
Aparna: Isse acha toh samose hi le ja.
# Shraddha walks into the house, tired. She lays on the sofa
# HER and Aparna come out
Aparna: Kaisi rahi date?
Shrads: Bekar!
Shrads: Banda bi-sexual hai.
Shrads: Banda bi-sexual hai.
SHE: Kya!!
Aparna: Usne bola aisa?
Aparna: Usne bola aisa?
Shrads: Haan
Aparna (analysing): Hmm...
# They both come and sit on the couch
Shrads: Hah 😀, waiter aya khana leke. Toh bolta hai, "Hmm, he's got nice eyes"
Shrads: Maine kaha, "they're okay. They just needs some mascara". He laughed and we started eating.
Shrads: Thodi der baad merko realize hua k yeh.. ladko ko kyun check out kar raha hai. Toh maine pucha, "are you gay?" Toh hasne laga aur bolta hai, "no I'm not gay, just bi-sexual".
Shrads: Maine socha, "arey yaar! time kharab kar diya mera!!"
Shrads: Fir keheta hai, "I wouldn't date a guy, but if I had the opportunity I wouldn't mind kissing one."
Shrads: 😒
SHE: Try toh kar hi sakti hai, usme kya hai.
Shrads: Haan yehi bacha hai na meri life me !? Ek meaningless relationship start karo aur maintain karte baito!
Shrads: Thank God, maine usko apna number nahi diya.
Aparna: Haan toh relationship kaun kehe raha hai. Ek do nights k liye try kar k dekh?
Shrads: No thank you 😒
Shrads: Bi-sexual bolte hi pura interest chala gaya.
SHE: Acha yeh bata, mai kal pot luck k liye kya leke jaun?
Shrads: Pot luck me khana kya leke ja rahi hai? Pot luck sirf khana dabane k liye hota hai.
SHE: Arey, wo pehele josh josh me maine kehe diya tha mai bhi le ayungi kuch.
Shrads: Aparna k idhar samose ache milte hain, wohi le ja. Mai bhi wahi se leke jati thi.
SHE: Tum dono samose k bharose rehete the?
Shrads: Haan
SHE (surprised): Mujhe kabhi bataya nahi
# SHE looks at both of them
Aparna: Tune kabhi pucha hi nahi
SHE: Yaar, last Diwali celebration me kya samose the yaar! Mujhe abhi bhi yaad hai.. I think, maine almost 4 samose khaye the. 😁
Shrads: chaar samose!? 😧
SHE: Arey, chotu chotu se the.
Aparna: Hmm, yaad hai mujhe. Tune wo black salwar peheni thi na?
SHE: Haan.. Aur kafi compliments bhi mile the mujhe 😊
Aparna: Acha. Photos toh nahi dikhayi kabhi.
SHE: Nahi dikhayi!?
SHE: Kuch bhi. Dikhayi hongi, tu bas bhool gayi hai.
# SHE reaches for HER phone as SHE says it
# SHE starts showing Aparna the photos
SHE: Yeh toh manager hai, tujhe pata hai.
SHE: This is my VP
SHE: Yeh Ruchi hai, mai aadhe time isi k saath reheti hun
Aparna: Wohi na, jo us din kehe rahi thi, "chalo na guys ! koi foreign trip plan karte hain."
SHE: Haan 😁
SHE: Eh, aise mazak mat uda. Achi hai wo.
Aparna: Mai kahan mazak uda rahi hun! Mai toh bas kehe rahi thi k usne aisa kaha.
SHE: Haan thik hai.
# SHE is scrolling through the pics
Aparna: Ek minute. Yeh kaun hai? Hot banda
SHE: Kaun? Anantha?
Aparna (surprised): Iska naam Anantha hai!?
SHE: Haan
Aparna: Interesting name. Par handsome toh hai.
SHE: Thik hi hai. Bas.. kabhi kabhi flirt karta hai.
Aparna: Ohh, so he's your work husband?
SHE (rhetorically): Kya!?
Aparna: Work husband 🤷♂️
SHE: Aisa kuch nahi hai.
Aparna: Do you guys take coffee breaks?
SHE: Haan
Aparna: Do you guys gossip about work in your free time?
SHE: Ah, yeah.
Aparna: He's your work husband.
SHE: Aisa kuch nahi hai. We only meet when we find time... Otherwise we just ping each other.
# Aparna grabs the phone from HER and shows it to Shraddha
Aparna: Eh, yeh hot hai ya nahi?
# Shraddha is busy with her phone and glances the picture
# Shraddha is busy with her phone and glances the picture
Shrads: Thik hi hai.. fuckable types...
# Aparna looks at HER in a gloating manner
SHE: 😒 friend hai wo sirf!
-- X --
Comments
Post a Comment